kho gaya jo raqam nahin karte
By gulnaz-khanOctober 24, 2023
kho gaya jo raqam nahin karte
aankh be-wajh nam nahin karte
'umr se shikwa hum nahin karte
husn khud apna kam nahin karte
hichkiyan lag na jaen us ko kahin
is liye yaad hum nahin karte
us ki khamoshi sunte rahte hain
shor hum koi dam nahin karte
waqt sathi hai kya karen shikwa
us ke aage qadam nahin karte
sab ke gham ka hisab rakhte hain
'am jo apna gham nahin karte
aankh be-wajh nam nahin karte
'umr se shikwa hum nahin karte
husn khud apna kam nahin karte
hichkiyan lag na jaen us ko kahin
is liye yaad hum nahin karte
us ki khamoshi sunte rahte hain
shor hum koi dam nahin karte
waqt sathi hai kya karen shikwa
us ke aage qadam nahin karte
sab ke gham ka hisab rakhte hain
'am jo apna gham nahin karte
35475 viewsghazal • English