KHub banta tha wo baaton ka dhani
By nand-kishore-anhadFebruary 27, 2024
khub banta tha wo baaton ka dhani
par wo ek baat jo kahte na bani
wo meri khamushi kaise tode
us ke bas ki hi kahan koh-kani
ham-sukhan hon mere tujh se kitne
aade aae na agar kam-sukhani
us ki aankhon se ladae koi aankh
koi takkar ki kare teghzani
waqt be-waqt ki ghanghor ghata
mere chehre pe teri zulf ghani
dhund thi dekhne wali 'anhad'
aur us dhund se jab dhup chhani
par wo ek baat jo kahte na bani
wo meri khamushi kaise tode
us ke bas ki hi kahan koh-kani
ham-sukhan hon mere tujh se kitne
aade aae na agar kam-sukhani
us ki aankhon se ladae koi aankh
koi takkar ki kare teghzani
waqt be-waqt ki ghanghor ghata
mere chehre pe teri zulf ghani
dhund thi dekhne wali 'anhad'
aur us dhund se jab dhup chhani
13843 viewsghazal • English