khub hai ishwa ye us ka ye ishaarat us ki mere hathon ki lakiren hain ibarat us ki wasl ki raat ke ek aakhiri moti ki tarah khwab banti hui aankhon mein bashaarat us ki us ke daman pe nahin padte lahu ke dhabbe tegh uthae wo to phir dekho mahaarat us ki kham ashiya ki tarah bikhra pada hai sar-e-rah zer-e-tamir tamasha hai imarat us ki na-shanasi ke kharabe mein safar hai us ka zinda rahne ki tamanna hai jasarat us ki dagh tashkik ke dho deti hai peshani se moajaza banti hai jab 'ramz' tahaarat us ki