KHud chale aao yahan ya ki sada do hum ko

By khalilur-rahman-azmiFebruary 27, 2024
khud chale aao yahan ya ki sada do hum ko
hum gunahgar tumhaare hain du'a do hum ko
kya karen hum se ye hoti nahin duniya-dari
hum jo duniya ke nahin hain to mita do hum ko


hum tumhaare hain tumhaare hi qarib aa baithe
hun jo gustakh to mahfil se utha do hum ko
daman-e-qais sahi daman-e-yusuf na sahi
ab to ye chaak hai jo chahe saza do hum ko


apni hi rakh mein ye aag na kajla jae
ab lagai hai to aanchal ki hawa do hum ko
ye bhi hum bhul gae nam hamara kya tha
puchh kar gardish-e-dauran se bata do hum ko


ya hamein qaid karo mahbas-e-tanhai mein
ya usi dushman-e-jaani se mila do hum ko
jin ko aankhon se lagaya to hamein chhod gae
unhin chehron unhin khwabon ka pata do hum ko


95444 viewsghazalEnglish