KHud hamin ko rahaton ke kaif ka chaska na tha

By azad-gulatiOctober 27, 2020
khud hamin ko rahaton ke kaif ka chaska na tha
zindagi ka zahr warna is qadar kadwa na tha
us ne tanhai se ghabra kar pukara to nahin
is se pahle to mera dil is tarah dhadka na tha


hae wo aalam ki un ki bazm mein bhi baith kar
main yahi socha kiya main to kabhi tanha na tha
us ke apne hath rukhsaron ko sahlane lage
go ba-zahir meri babat us ne kuchh socha na tha


har taraf khilti rahin kaliyan nasim-e-subh se
apni qismat mein saba ka ek bhi jhonka na tha
zindagi ai zindagi!! aa do ghadi mil kar rahen
tujh se mera umr-bhar ka to koi jhagda na tha


sochte hain ab use 'azad' hum kya nam den
umar ka wo daur dil mein jab koi sauda na tha
85108 viewsghazalEnglish