KHud hi shamil nahin ho pae hum apne dukh mein
By manmohan-talkhSeptember 24, 2023
khud hi shamil nahin ho pae hum apne dukh mein
jaane le baithe ye kya aaj purani baaten
kis qadar ho gae ye fasle ab hum ko 'aziz
tum jo barson pe milo hum ko to hairat na karen
chaho to ek hi aawaz mein qail kar lo
mahw-e-ghaflat bhi hun kuchh khul bhi rahi hain aankhen
'ishq ke lams ko hasti se mita den kaise
man li baat ki hum qat-e-ta’alluq kar len
wahi aawaz hai main sun to raha hun lekin
dil ki dhadkan ne zara dal diya hai shak mein
mil si jati hai kadi ‘alam-e-diwangi ki
yaad jab aati hain kuchh bhulti si wo aankhen
jaane is 'ishq mein kya apne yaqin par guzri
ya'ni ye soch ke khamosh hain kya baat karen
ek tamanna hai ta'alluq ke sahaare tum se
kya ta'alluq sa bana rakkha hai dil hi dil mein
han in aankhon ne kai bar to ye bhi chaha
koi aata nazar aae na jidhar bhi dekhen
tujh ko pa kar jo hue wahm-o-guman wo mat puchh
khud ko paya na kabhi hum ne teri baaton mein
ek ek baat jo khud kahte phire hain apni
kaisi hasrat thi ki ho koi to kuchh baat karen
aah kis shauq-e-ta'alluq mein mite hum ai dil
koi aaya na gaya yunhi bana lin baaten
ek ‘arse pe mile aaj to yun jaan pada
jis tarah us ne har ek haal mein dekha ho hamein
kuchh ho ‘unwan-e-sukhan baat banana ma'lum
ek ta'alluq se thi jo kuchh bhi thi khubi hum mein
aah ye be-asari aur us aawaz ki 'talkh'
ban ke kaunda sa lapakti thi jo dil hi dil mein

19039 viewsghazal • English