khud ko ahl-e-wafa samajhte hain auron ko bewafa samajhte hain par kashti laga ke dikhlaen khud ko gar nakhuda samajhte hain khamiyan dusron ki ginwaen khud ko jo parsa samajhte hain kah bhi dalen zaban se apni jo bura ya bhala samajhte hain ek nai zindagi hai baad-az-marg log use intiha samajhte hain hirs-o-tama ki daud jari hai sab isi mein baqa samajhte hain kis tarah jaan lun 'sabiha' ko apne dil mein wo kya samajhte hain