khud ko har roz imtihan mein rakh baal o par kat kar udan mein rakh sun ke dushman bhi dost ho jae shahad se lafz bhi zaban mein rakh ye to sach hai ki wo sitamgar hai dar par aaya hai to aman mein rakh marhale aur aane wale hain tir apna abhi kaman mein rakh waqt sab se bada muhasib hai baat itni meri dhyan mein rakh tazkira ho tera zamane mein aisa pahlu koi bayan mein rakh tujh ko naslen khuda na kah baithen apni taswir mat makan mein rakh jis ki qismat hai beghari 'manzar' un ko to apne saeban mein rakh