KHud ko itna bhi pasheman nahin karna tha

By ahmar-nadeemFebruary 5, 2024
khud ko itna bhi pasheman nahin karna tha
chand lamhon ko dil-o-jaan nahin karna tha
teri khwahish bhi na ho tujh se shikayat bhi na ho
itna ehsan meri jaan nahin karna tha


phir to hona hi tha ai 'ishq tamasha-e-junun
hosh walon ko nigahban nahin karna tha
itni duri thi to duri ka bharam bhi rakhte
meri aankhon ko shabistan nahin karna tha


dar pe baithe hain sawali ki ijazat pawen
tum ko takhir ka saman nahin karna tha
hum hawaon se sada bar-sar-e-paikar rahe
ab ye lagta hai charaghan nahin karna tha


ek ummid ke sae mein guzari 'ahmar'
is qadar 'umr pe ehsan nahin karna tha
34049 viewsghazalEnglish