KHud ko kabhi jo KHud se milana paDa hamein

By moid-rahbarNovember 8, 2020
khud ko kabhi jo khud se milana pada hamein
chehre ke pas aaina lana pada hamein
tanhaiyon ka dard bhulane ke waste
khud apne ghar mein shor machana pada hamein


muddat ke baad ho gaya jab un se samna
nakaam hasraton ko jagana pada hamein
is dasht-e-kaenat mein jine ke waste
soz-e-gham-e-hayat bhulana pada hamein


ban jae phir na ek tamasha ye soch kar
duniya se apna dard chhupana pada hamein
kuchh tirgi-pasand kal aae the is liye
basti ka har charagh bujhana pada hamein


suraj ka zulm aur badhega ye jab suna
aangan mein ek ped lagana pada hamein
aisa bhi waqt aalam-e-ghurbat mein aa gaya
bachchon ko bhuke pet sulana pada hamein


'rahbar' hamare waste manzil nahin chali
manzil ki samt chal ke khud aana pada hamein
52247 viewsghazalEnglish