KHud ko kya KHun rulaoge batao to sahi
By aarif-nazeerAugust 4, 2024
khud ko kya khun rulaoge batao to sahi
tum mujhe kaise bhulaoge batao to sahi
aise chup-chap tumhein main nahin jaane dunga
tum kabhi laut ke aaoge batao to sahi
muddat-e-hijr mukarrar mujhe manzur magar
apne sine se lagaoge batao to sahi
yaad mein meri sabhi kaam se ghafil ho kar
chaar aansu bhi bahaoge batao to sahi
ratjage mere muqaddar mein likhe hain tum ne
aur khud khwab sajaoge batao to sahi
tum se pahle bhi kai log mujhe chhod gae
main jo ruthunga manaoge batao to sahi
tum kisi ko jo kabhi mera hawala doge
meri ghazlen bhi sunaoge batao to sahi
jab dawa kaam na kar paegi mujh par 'arif'
tum masihai ko aaoge batao to sahi

34253 viewsghazal • English