KHud ko rok us gali mein jaane se
By shakeel-ibn-e-sharfFebruary 5, 2022
khud ko rok us gali mein jaane se
baz aa aabru ganwane se
aam hone lagi hawas-kari
pyar uthne laga zamane se
aasman ka nahin bigadna kuchh
chand taron ke tut jaane se
aashna us gali mein koi nahin
hum wahan jaen kis bahane se
baat banti nazar nahin aati
zulf uljhi hui hai shane se
jab bigadta hai waqt ka tewar
baat banti nahin banane se
koi hota nahin kisi ka 'shakil'
faeda kya fareb khane se
baz aa aabru ganwane se
aam hone lagi hawas-kari
pyar uthne laga zamane se
aasman ka nahin bigadna kuchh
chand taron ke tut jaane se
aashna us gali mein koi nahin
hum wahan jaen kis bahane se
baat banti nazar nahin aati
zulf uljhi hui hai shane se
jab bigadta hai waqt ka tewar
baat banti nahin banane se
koi hota nahin kisi ka 'shakil'
faeda kya fareb khane se
61212 viewsghazal • English