KHud ko socha hai ki kuchh tanha karun
By shamsa-najmFebruary 29, 2024
khud ko socha hai ki kuchh tanha karun
dil se ab mehman ko chalta karun
waqt tak milta nahin apne liye
is qadar masruf hun main kya karun
koi kar tadbir mil baithen kahin
tujh se mil kar dil ka gham halka karun
ab sahi jatin nahin ye ranjishen
khud ko kosun ya unhen kosa karun
kar diya ruswa mujhe tu ne magar
main tujhe duniya mein kyun ruswa karun
ho mayassar jawedani ka safar
khud ko apni zat se minha karun
jang rishton aur ana mein chhid gai
haarne ka hausla paida karun
us ne puchha yaad karti ho mujhe
kya tumhein milne kabhi aaya karun
kah diya main ne guzar jata hai din
raat ki tanhaiyon ka kya karun
dard ne dil mein na chhodi kuchh jagah
tum rahoge ab kahan socha karun
ghar ki chaukhat par main ab bhi baith kar
roz us ka rasta dekha karun
dost mere kho gae jaane kahan
bojh dil ka kis tarah halka karun
jawedan ho jaun shohrat bhi mile
gar usulon ka jo main sauda karun
gar mujhe fursat mile 'shamsa-najam'
to use har waqt main socha karun
dil se ab mehman ko chalta karun
waqt tak milta nahin apne liye
is qadar masruf hun main kya karun
koi kar tadbir mil baithen kahin
tujh se mil kar dil ka gham halka karun
ab sahi jatin nahin ye ranjishen
khud ko kosun ya unhen kosa karun
kar diya ruswa mujhe tu ne magar
main tujhe duniya mein kyun ruswa karun
ho mayassar jawedani ka safar
khud ko apni zat se minha karun
jang rishton aur ana mein chhid gai
haarne ka hausla paida karun
us ne puchha yaad karti ho mujhe
kya tumhein milne kabhi aaya karun
kah diya main ne guzar jata hai din
raat ki tanhaiyon ka kya karun
dard ne dil mein na chhodi kuchh jagah
tum rahoge ab kahan socha karun
ghar ki chaukhat par main ab bhi baith kar
roz us ka rasta dekha karun
dost mere kho gae jaane kahan
bojh dil ka kis tarah halka karun
jawedan ho jaun shohrat bhi mile
gar usulon ka jo main sauda karun
gar mujhe fursat mile 'shamsa-najam'
to use har waqt main socha karun
22714 viewsghazal • English