khud ko tamasha khub banata raha hun main qimat bhi sadgi ki chukata raha hun main yun bhid mein to lutna badi aam baat hai sahra mein khud ko tanha lutata raha hun main manzil ki justuju bhi ajab shai hai dosto thokar se zakham apne lagata raha hun main kar ke kisi ko khwar bahut hansta hai bashar sah ke sitam bhi khud ko hansata raha hun main karta tha jab 'saba' ko zamana bhi na-murad himmat se azm aur badhata raha hun main