KHud se bezar zamane se KHafa lagta hai

khud se bezar zamane se khafa lagta hai
wahshat-e-jaan ka asar dil pe siwa lagta hai

dasht-e-ummid ki jhulsi hui khamoshi mein
bas tera nam mujhe harf-e-dua lagta hai

sabz patton pe chamakti hui shabnam ne kaha
raat dhal jae to har rang naya lagta hai

hum bhari bazm mein chup hain ki hamein tere siwa
ab koi aur pukare to bura lagta hai

wo to hum the jo tujhe bhid mein pahchan gae
ye tera wahm hai tu sab se juda lagta hai

zard mitti ke siwa kya hai badan ka jadu
kyon mera aks mujhe is ke siwa lagta hai

zindagi hum tere mamnun hain behad lekin
tu jo ehsan jatae to bura lagta hai

chand sikkon ke ewaz sar ko jo bech aae the
ab pareshan hain ki har shakhs khuda lagta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close