KHud se jo aashna nahin hota

By mast-hafiz-rahmaniFebruary 27, 2024
khud se jo aashna nahin hota
us ka koi khuda nahin hota
aasra hai to bas khuda ka hai
aur koi aasra nahin hota


rasta dete hain samundar bhi
hausla ho to kya nahin hota
log aate hain log jate hain
dil kisi se khafa nahin hota


main use bewafa kahun kaise
har koi ba-wafa nahin hota
us taraf khud hi panw chalte hain
jis taraf rasta nahin hota


kis qadar ba-wafa hai dil ka makin
koi lamha juda nahin hota
jo khuda hai wahi rahega khuda
koi banda khuda nahin hota


'momin-e-dehlawi' pe naz na kar
koi banda bura nahin hota
phir bhi wo 'mast' sath rahta hai
kya karen samna nahin hota


11631 viewsghazalEnglish