KHud se KHud ki an-ban hun main

By vikas-sahajJanuary 5, 2024
khud se khud ki an-ban hun main
ek suljhi si uljhan hun main
jis ne dekha nazren pherin
jaane kitna raushan hun main


mujh ko pana qismat samjho
ek shabri ka juthan hun main
wo pahne ya phenke mujh ko
shahzadi ka kangan hun main


nazdiki dukh-dai hogi
krodhit show ka nartan hun main
94853 viewsghazalEnglish