KHud se milne ke liye KHud se guzar kar aaya

By kaifi-wijdaniNovember 3, 2020
khud se milne ke liye khud se guzar kar aaya
kis qadar sakht muhim thi ki jo sar kar aaya
lash hota to ubhar aata ki ek main hi kya
sath par koi bhi patthar na ubhar kar aaya


sirf darwaze talak ja ke hi laut aaya hun
aisa lagta hai ki sadiyon ka safar kar aaya
chand qadmon pe pada mujh ko bulata hi raha
main hi khud baam se apne na utar kar aaya


mujh ko aana hi tha ek roz haqiqat ke qarib
zindagi mein nahin aaya tha to mar kar aaya
63023 viewsghazalEnglish