khuda bhi taraf-dar nikla tumhaara ye jhagda chuka ab hamara tumhaara buto shauq-e-didar se sar na chadhna nazara kisi ka tamasha tumhaara bade ba-haya aur parda-nashin ho hai har ku-o-barzan mein charcha tumhaara ulu mein hi jhuta hun paiman-shikan hun nahin ab to kuchh mujh se shikwa tumhaara dil aae na kyun kyun na iman jae ye surat tumhaari ye ghamza tumhaara dil-o-jaan 'kaifi' hai qurban tum par nahin is se inkar zeba tumhaara