KHuda hi aap na jab tak zamin pe utrega

By jamal-ehsaniFebruary 26, 2024
khuda hi aap na jab tak zamin pe utrega
to kaun pura kisi ke yaqin pe utrega
ye sail-e-ashk bhi apna hai aankh bhi apni
khade raho ki ye dariya yahin pe utrega


bharosa koi nahin hai kisi musafir ka
jahan bhi rail rukegi wahin pe utrega
chale to ho safar-e-‘ishq par khayal rahe
kahin chadhega ye dariya kahin pe utrega


tamam khak-nashin zer-e-khak honge magar
lahu ka rang teri aastin pe utrega
yahan bhare hue baithe hain sab bandhe hathon
so ab ye ghussa tere ja-nashin pe utrega


'jamal' khitta-e-dil ho bhi jae gar hamwar
koi jahaz na is sarzamin pe utrega
45867 viewsghazalEnglish