KHuda jaane wo kyunkar is qadar hum ko satate hain
By meem-maroof-ashrafFebruary 27, 2024
khuda jaane wo kyunkar is qadar hum ko satate hain
sitam phir ye ki phir wo hi hamare man ko bhate hain
yahi dastur hai shayad zamane ki mohabbat ka
jise hum pyar karte hain wahi dil ko dukhate hain
sanbhal kar baithna tum imtihan-e-‘ishq mein sahib
ye wo parcha hai jis mein log aksar mat khate hain
riyazi falsafa science ye bhi thik hai lekin
kahan hum apne bachchon ko magar urdu sikhate hain
wo kaise log hain jo chaar din bas 'ishq karte hain
phir us ke ba'd sare rishte-nate bhul jate hain
kahan ab wo bhi hum ko waqt dete hain bahut 'ashraf'
so hum bhi sham ko ghar jaldi wapas laut aate hain

88652 viewsghazal • English