KHuda ne KHush mujhe auqat se ziyaada kiya

By jamal-ehsaniFebruary 26, 2024
khuda ne khush mujhe auqat se ziyaada kiya
ki hath tang rakha aur dil kushada kiya
muhit chaaron taraf ek ism hai jis ne
nazar mein rang bhare aaine ko sada kiya


kabhi falak kabhi dharti ne di panah mujhe
kabhi khuda se kabhi khud se istifada kiya
azal se us ka giraftar-e-‘ishq hun jis ne
diye ko raushni mein chand se ziyaada kiya


bas ek sath-e-yaqin par rahe hamesha hum
na main ne 'arz kabhi ki na us ne wa'da kiya
tera karam ki koi kaam aa pada us dam
main jab kabhi tere inkar ka irada kiya


mere khuda ne mera rizq mujh ko pahunchaya
'jamal' ghar se nikalne ka jab irada kiya
37667 viewsghazalEnglish