KHuda ne to sabr aazmaya mera
By shariq-kaifiFebruary 29, 2024
khuda ne to sabr aazmaya mera
magar tum ne kyon dil dukhaya mera
ghamon ke the apne khasare magar
khushi ne to ghar bech khaya mera
chala to main shayad qadam do qadam
bharosa magar laut aaya mera
mera hath hoga gareban par
koi kuchh agar kar na paya mera
chhupa kar hua mujh ko dhane ka kaam
so malba bhi andar giraya mera
kahan kab use kaam mein le liya
ye qatil nahin jaan paya mera
mera jism bhi ye nahin jaanta
kahan khatm hota hai saya mera
magar tum ne kyon dil dukhaya mera
ghamon ke the apne khasare magar
khushi ne to ghar bech khaya mera
chala to main shayad qadam do qadam
bharosa magar laut aaya mera
mera hath hoga gareban par
koi kuchh agar kar na paya mera
chhupa kar hua mujh ko dhane ka kaam
so malba bhi andar giraya mera
kahan kab use kaam mein le liya
ye qatil nahin jaan paya mera
mera jism bhi ye nahin jaanta
kahan khatm hota hai saya mera
91473 viewsghazal • English