khuda-ra aa ke meri lo khabar kahan ho tum mere habib mere chaara-gar kahan ho tum na raston ki khabar aur na manzilon ka pata kahan main jaun mere rahbar kahan ho tum ai bagh-e-dil ke milansar baghban-e-zaif darakht dene lage hain samar kahan ho tum sunai deti hai har pal mujhe teri aawaz dikhai kyun nahin dete magar, kahan ho tum? ghazab ki dhup hai aur saeban koi nahin main jal raha hun mere baam-o-dar kahan ho tum kuchh un ki khair khabar sath le ke aae ho? chale bhi aao mere nama-bar kahan ho tum