KHuda tu itni bhi mahrumiyan na tari rakh

khuda tu itni bhi mahrumiyan na tari rakh
hamare jism mein ek ruh to hamari rakh

isi bahane hi shayad tera khayal rakhe
tu apne aap pe duniya ki kuchh udhaari rakh

tamam khwab tere gal na jaen is mein hi
yun har samay na mere yar aankhen khaari rakh

lahu se byaj chukana padega ab tujh ko
diya ye mashwara kis ne ki jaan udhaari rakh

talash karna pade hansne ka sabab tujh ko
ai zindagi na tu itni bhi hoshiyari rakh

bikhar rahi hai magar kya pata sambhal jae
tu is kahani mein ab dastan hamari rakh

na jaane kaun wibhishan use bata aaya
hai meri jaan usulon mein chot jari rakh

qalam udas hai sahme hue hain sare waraq
gham-e-hayat na yun shairi pe tari rakh

juda hua hai to saman bhi alag kar le
mujhe faqiri de aur apni taj-dari rakh

wafa khulus dagha jhut sab main dekhun to
tu mere samne har chiz bari bari rakh

mashini daur mein jazbaat kya bayan karna
chhupa ke yar tabassum mein be-qarari rakh

kuchh ek raaz to wajib hain is jahan ke liye
har ek baat na 'azad' ishtihaari rakh


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close