KHuddariyon ki had se nikalna paDa mujhe
By aalam-nizamiDecember 28, 2023
khuddariyon ki had se nikalna pada mujhe
mahaul ki chitaon mein jalna pada mujhe
wo maslahat thi kya thi mujhe kuchh nahin pata
apna har ek usul badalna pada mujhe
socha tha main rahunga hamesha 'uruj par
suraj ki tarh sham ko dhalna pada mujhe
man ke hasin chand se chehre ko dekh kar
bachpan ki yaad aai machalna pada mujhe
bujhta jo main to mitta nishan khandan ka
main aakhiri charagh tha jalna pada mujhe
pana kathin hai zewar-e-kirdar dosto
chandi ki tarh aag mein galna pada mujhe
yunhi kahan mile hain ye do-chaar phul bhi
'alam' hazar kanton pe chalna pada mujhe

77944 viewsghazal • English