KHudi ko sabr-o-tahammul se aashna rakhna

By zaheer-ahmad-zaheerMay 9, 2022
khudi ko sabr-o-tahammul se aashna rakhna
badi he baat bada dil ka hausla rakhna
isi se hai ye meri zindagi mein ranai
mera charagh-e-mohabbat hawa jala rakhna


nahin hai shan utha kar akad ke chalne mein
hamesha sar ko adab se jhuka hua rakhna
na jaane kaun sa lamha ho us ki aamad ka
khayal zehn main har waqt maut ka rakhna


sanbhaal lena bulandi pe aasman ki mujhe
meri udan ki tu aabru hawa rakhna
tu apne rahm-o-karam se nawaz dena hamein
hamari laj tu mahshar mein ai khuda rakhna


'zahir' shukr khuda ka har ek pal lazim
labon ko sham-o-sahar talib-e-dua rakhna
45159 viewsghazalEnglish