khula hai jhut ka bazar aao sach bolen na ho bala se kharidar aao sach bolen sukut chhaya hai insaniyat ki qadron par yahi hai mauqa-e-izhaar aao sach bolen hamein gawah banaya hai waqt ne apna ba-nam-e-azmat-e-kirdar aao sach bolen suna hai waqt ka hakim bada hi munsif hai pukar kar sar-e-darbar aao sach bolen tamam shahr mein kya ek bhi nahin mansur kahenge kya rasan-o-dar aao sach bolen baja ki khu-e-wafa ek bhi hasin mein nahin kahan ke hum bhi wafadar aao sach bolen jo wasf hum mein nahin kyun karen kisi mein talash agar zamir hai bedar aao sach bolen chhupae se kahin chhupte hain dagh chehre ke nazar hai aaina-bardar aao sach bolen 'qatil' jin pe sada pattharon ko pyar aaya kidhar gae wo gunahgar aao sach bolen