KHuld mein bhi hasb-e-adat waz farmaenge kya

khuld mein bhi hasb-e-adat waz farmaenge kya
shaikh huron se hajamat apni banwaenge kya

wan dhara hi kya hai tile aur pahadon ke siwa
rockiton par udne wale chand par paenge kya

dekhte hi resha-khatmi ho rahe hain pir ji
us muridan se bhi apna aqd padhwaenge kya

puchh baithe gar kahin dhoti pahanne ka sabab
koi hum ko ye to batlao ki batlaenge kya

bhai sahab ek hi ka bojh sar par kam nahin
dusri ek aur aafat apne sar laenge kya

khuld mein bhi ho nahin sakta hai 'hashim' ka nibah
un ko gham khane ki aadat hai wahan khaenge kya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close