khuli aankhon se har sapna suhana dekhte jao
By bhagwan-khilnani-saqiFebruary 26, 2024
khuli aankhon se har sapna suhana dekhte jao
abhi to aur badlega zamana dekhte jao
rahenge ja ke jab aakash par sab log dharti ke
palat aaega mujh jaisa diwana dekhte jao
lagai jis tarah se aag us ne sari duniya mein
jalaega khud apna aashiyana dekhte jao
nibhaya tum ne har nata wafa ka bewafai se
hamara rasm-e-ulfat bhi nibhana dekhte jao
nahin aaya hamein nazren milana aaj tak jis se
sikha dega wo khud nazren milana dekhte jao

18738 viewsghazal • English