khulne hi lage un par asrar-e-shabab aakhir aane hi laga hum se ab un ko hijab aakhir tamil-e-kitab awwal tawil-e-kitab aakhir tadbir o amal awwal taqrir o khitab aakhir is khak ke putle ki kya khub kahani hai masjud-e-malak awwal ruswa o kharab aakhir go khud wo nahin karte bakhshish mein hisab awwal dena hai magar hum ko ek roz hisab aakhir didar se pahle hi kya haal hua dil ka kya hoga jo ultenge wo rukh se naqab aakhir mahrum ne rah jaana kotahi-e-himmat se hone ko hai ai 'wasif' ye bazm-e-sharab aakhir