KHulus isar parsai haya sadaqat hijab likhkhun

By javed-rasheed-amirJuly 3, 2021
khulus isar parsai haya sadaqat hijab likhkhun
main lafz pani ke dhund laun to barf ki ye kitab likhkhun
na main hun gulchin na baghban hun main is gulistan ka mohtasib hun
zara main kante shumar kar lun to par gulon ka hisab likhkhun


mite mite se huruf khat ke na jaane kya kya suna rahe hain
main aansuon ki zaban samajh lun to tere khat ka jawab likhkhun
mahakta paikar hasin rangat ye mast aankhen jhuki jhuki si
bata tujhe main gulab likhkhun nasha likhkhun ya sharab likhkhun


bata ye tu hi in aansuon se main zindagi ke likhun masail
ki tere chehre ke khubsurat nuqush par ek kitab likhkhun
jo bhigi palkon se tum ne ek din wafa ke wade kiye the mujh se
tumhin batao ki ab main un ko sarab likhkhun ki khwab likhkhun


sahar ke sar hain na jaane kitni andheri raaton ke qarz 'amir'
dhuen charaghon ke den ijazat to raushni ka hisab likhkhun
14339 viewsghazalEnglish