KHun-e-dil jab bhi nikala to ghazal kah Dali

By khalid-azadOctober 9, 2023
khun-e-dil jab bhi nikala to ghazal kah dali
zabt jab tera sanbhaala to ghazal kah dali
muddaton tak teri yaadon pe laga tha pahra
jab hata dil se ye jala to ghazal kah dali


itni tariki mein guzri hain hamari raaten
jab kahin dekha ujala to ghazal kah dali
hum se mai-kash pe khule tab ye nazare sare
jam saqi ne uchhaala to ghazal kah dali


jab wo kuche se kabhi nikle faqat sher kahe
us ne jab hum ko nikala to ghazal kah dali
main ne bas husn-o-mohabbat pe nahin likkhi hai
jab chhina munh se niwala to ghazal kah dali


64659 viewsghazalEnglish