KHun mein Duba hua shahr ka manzar hai miyan

By alimuddin-aleemJune 3, 2024
khun mein duba hua shahr ka manzar hai miyan
aise mahaul se to ganw hi behtar hai miyan
kis ghadi kya ho mere sath koi thik nahin
in dinon chaaron taraf khauf ka lashkar hai miyan


aafiyat is mein tumhaari hai ki khamosh raho
aur kahne ko mere pas bhi daftar hai miyan
'umr bhar tesha-zani meri tarah kaun kare
sakht patthar ki tarah mera muqaddar hai miyan


ho raha hai ye ayan khauf-zada chehre se
ro'b ghaalib to mera aaj bhi tum par hai miyan
khauf sa lagta hai khud apne padosi se 'alim'
ghar to uncha hai magar phus ka chhappar hai miyan


17405 viewsghazalEnglish