KHun mein Dubi hui lashon ki taraf kya dekhun

By irfan-aazmiFebruary 6, 2024
khun mein dubi hui lashon ki taraf kya dekhun
sang-bari ke thikanon ki taraf kya dekhun
tere kirdar pe markuz hain meri nazren
main tere ghar ke khazanon ki taraf kya dekhun


khinch lai hai zarurat sar-e-bazar mujhe
jeb khali hai dukanon ki taraf kya dekhun
shahr-e-gunjaan mein aabaad nahin dil koi
int patthar ke makanon ki taraf kya dekhun


ghibaten karne se behtar hai ki khamosh rahun
kisi diwar ke kanon ki taraf kya dekhun
bund ban ban ke sar-e-rah bikhar jaengi
abr ki unchi chatanon ki taraf kya dekhun


ab to har phul se barud ki bu aati hai
shakh ke tir kamanon ki taraf kya dekhun
be-zamin hone ka ehsas dilata hai lahu
be-zamin hun to kisanon ki taraf kya dekhun


lan-tarani ke siwa kuchh na milega 'irfan'
ganw ke unche gharanon ki taraf kya dekhun
35719 viewsghazalEnglish