KHun mera jis se hua hai KHanjar-e-ahbab hai

By aabid-jafriDecember 18, 2020
khun mera jis se hua hai khanjar-e-ahbab hai
ye haqiqat hai magar lagta hai jaise khwab hai
is liye mujh sa numayan ho gaya be-baal-o-par
jis jagah main hun wahan har aadmi surkhab hai


hum ne dekha hai ki aksar dub jata hai wahi
jo talash-e-gauhar-e-yakta mein zer-e-ab hai
ab kisi jangal mein ja rahiye ki apne shahr mein
aadmi hi aadmi ke waste nayab hai


zindagi apni bil-akhir ho gai us par tamam
jo kitab-e-zindagi ka na-mukammal bab hai
wo to ye kahiye shikasta ho chuka hai hausla
warna dil ab bhi kisi ke wasl ko betab hai


21238 viewsghazalEnglish