KHurshid-ruKHon ka samna hai

khurshid-rukhon ka samna hai
shabnam-sifat aabru hawa hai

dil zakhmi-e-ishq hai saza hai
bhar dun jo namak to phir maza hai

ab to dil us par aa gaya hai
achchha hai bura hai ya bhala hai

bainnul-aad mein aadmi hai
duniya ek beach ki sira hai

aisi hai malahat us ke munh par
rukhsar ka sabza lo naya hai

iksir hai dil ki khaksari
kushta ho jo nafas-e-kimiya hai

munim na kar eatibar-e-daulat
iqbaal ka qalb la-baqa hai

wo dil na raha ja naz uthaun
main bhi hun khafa jo wo khafa hai

kam hai jo sitam ho tujh par ai dil
be-rahm se aur mil saza hai

dil tum ko to phir kisi din
pyar koi tum se bhi siwa hai

achchhi nahin ye khalish raqibo
kante bo kar koi phala hai

hum dekhen maze raqib lute
yun us se bhi to kya maza hai

dam sine se kyun nahin nikalta
kya jism-e-nazar khar-e-pa hai

daulat se kabhi na ser honge
shahon ko faqir ki dua hai

chhupta nahin koi apne dil mein
aankhon mein wahi khatak raha hai

is ranj mein bhi nibah denge
apna abhi itna hausla hai

ai 'bahr' ghazal kahi jo tum ne
ye tarz-e-kalam 'mir' ka hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close