khush hun ki zindagi ne koi kaam kar diya mujh ko supurd-e-gardish-e-ayyam kar diya saqi siyah-khana-e-hasti mein dekhna raushan charagh kis ne sar-e-sham kar diya pahle mere khulus ko dete rahe fareb aakhir mere khulus ko badnam kar diya kitni duaen dun teri zulf-e-daraaz ko kitna wasia silsila-e-dam kar diya wo chashm-e-mast kitni khabar-dar thi 'adam' khud hosh mein rahi hamein badnam kar diya