khusha-nasib haqiqat ye dil ne mani hai hayat hum ko batani nahin banani hai rakhe bhi koi to kyunkar talluq-e-khatir main ek jazira mere ird-gird pani hai ye kya ki rai ka parbat bana diya tum ne hamara dil to hawadis ki rajdhani hai hamari pith mein khanjar utarne wale sitam ki tarz badal de bahut purani hai bahut se ahl-e-zaban be-zaban jaise hain bahut se gungon ko zoam-e-zaban-dani hai 'amin'-e-sozish-e-ishq-e-habib hain donon ai shama teri meri ek hi kahani hai