KHushbu laga faza ko sajaane ki baat kar

By adil-mustaqueemJanuary 1, 2024
khushbu laga faza ko sajaane ki baat kar
us khanda-lab ke samne aane ki baat kar
phir us ka zikr lab pe sajaane ki baat kar
phir git us ke jhum ke gane ki baat kar


'adil' tujhe nasib hui be-khudi to ab
is be-khudi se baz na aane ki baat kar
78000 viewsghazalEnglish