KHushbuon ki dasht se hamsaegi taDpaegi

khushbuon ki dasht se hamsaegi tadpaegi
jis ko bhi hasil hui ye aagahi tadpaegi

raushni ko gung hote jis ne dekha ho kabhi
kis hawale se use tira-shabi tadpaegi

kadhta tha main hi sang-e-sakht par resham se phul
kya khabar thi ye nazar shaistagi tadpaegi

khwab the payab is ka dukh nahin kab thi khabar
mujh ko tabiron ki ek be-qamati tadpaegi

main na kahta tha ki shoalon se na karna dosti
main na kahta tha ki ye dariya-dili tadpaegi

zawiya-dar-zawiya manzar badalte jaenge
aankh sari aankh bhar ye zindagi tadpaegi

naghme chup hain aur rut bhi kah rahi hai chup raho
kis ko ab dil ki ye na-asudgi tadpaegi

aur ek din dasht baadal se churaenge nazar
aur mujh ko is ki ye be-khangi tadpaegi

kuchh na kuchh 'manzur' dil se rabta rah jaega
us ko mujh se dosti ya dushmani tadpaegi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close