KHushi mein yun izafa kar liya hai

By aisha-ayubMay 29, 2024
khushi mein yun izafa kar liya hai
bahut sa gham ikattha kar liya hai
hamein hum se bachane kaun aata
so ab khud se kinara kar liya hai


meri tanhai ka 'alam to dekho
zamane bhar ko yakja kar liya hai
tujhe jaane ki jaldi thi so khud se
tere hisse ka shikwa kar liya hai


nahin mangenge tujh ko ab du'a mein
khuda se hum ne jhagda kar liya hai
taraste hain jise milne ki khatir
usi ko apni duniya kar liya hai


wo kya hai 'ishq hum ne ab ki jaanan
takalluf mein ziyaada kar liya hai
andheron mein to rakhte hi the khud ko
ujalon mein bhi tanha kar liya hai


khule pinjre mein bhi jis ko hai wahshat
ye dil aisa parinda kar liya hai
80335 viewsghazalEnglish