khushiyan hon sirf jis mein ye gham ka dhuan na ho koi zamin nahin hai jahan aasman na ho us ko bhi sinche hai khuda rahmat ki chhanw mein duniya mein jis chaman ka koi baghban na ho phirti ho dar-ba-dar si meri hasrato kahan koi tumhaare jaisa yahan be-makan na ho lazim hai ehtijaj hawaon ka is liye zulmat ki rah-guzar pe koi karwan na ho nafrat ki aag mein jo usulon ko jhonk de aisa bhi masnadon pe koi hukmaran na ho qaem karo yahan nai ulfat ke silsile rahon mein wahshaton ka ye nam-o-nishan na ho 'abid' jalao pyar ki sham'on ko har taraf in nafraton mein taki koi bad-guman na ho