KHushiyan nahin to kyon kahun aazar bhi nahin
By shahzad-niazFebruary 29, 2024
khushiyan nahin to kyon kahun aazar bhi nahin
ghar-bar kya kahun koi dil-dar bhi nahin
aabaad mahfilen rahin waqt-e-uruj tha
sunne ko baat ab koi gham-khwar bhi nahin
tha mahwashon ka sath to gul-pashiyan rahin
tanha hue to milta koi khar bhi nahin
gham apna jis se bantte tanhaiyon mein hum
chehra-shanas ab koi diwar bhi nahin
jo dil mein aa gaya wahi 'shahzad' likh diya
aasan nahin to sha'iri dushwar bhi nahin

10984 viewsghazal • English