khususi lutf-farmai na chhodi un aankhon ne masihai na chhodi rahin pabandiyan jab tak zaban par khamoshi ne bhi goyai na chhodi hue pairahan-e-gul chaak-dar-chaak saba ne naz-farmai na chhodi hamein bhi aarzu-e-nek-nami hawa-e-ku-e-ruswai na chhodi usi se chashm-o-dil ki zindagi thi mataa-e-na-shakebai na chhodi hazaron ranj-o-gham hain phir bhi dil ne tere gham ki pazirai na chhodi khirad ne lakh samjhaya daraya junun ne hashr-arai na chhodi hawadis se guzarne par bhi 'mansha' ghazal ne shan-e-ranai na chhodi