KHwab aankhon ko hamari jo dikhae aaina

By rajendra-kalkalNovember 13, 2020
khwab aankhon ko hamari jo dikhae aaina
khun ke aansu wahi hum ko rulae aaina
aadmi ki fitraten jaise samajhta ho sabhi
aadmi ke sath aise muskurae aaina


bantana to chahta hai dukh buzurgon ke magar
jhurriyon ko kis tarah un ki chhupae aaina
aaine ke samne se koi to hatta nahin
aur kisi ko khwab tak ye darae aaina


gham nahin be-shak bikhar jae kisi din tut kar
jhut ke aage na sar hargiz jhukae aaina
bol kar sach kaun kitne din salamat rah saka
dar ke sae mein hayat apni bitae aaina


waqt chehre par jab us ke likh gaya nakaamiyan
kaise wo diwar par 'kalkal' sajae aaina
19254 viewsghazalEnglish