KHwab aankhon mein sajae rakhna

By ummeed-fazliMarch 18, 2024
khwab aankhon mein sajae rakhna
'azm ke dip jalae rakhna
daw chal jae na shab-zadon ka
lau charaghon ki badhae rakhna


mehrban man ki tarah hai ye zamin
sar yahan apna jhukae rakhna
chand utre na zamin pe jab tak
aasman sar pe uthae rakhna


zinda rahna hai to yaran-e-'aziz
hath se hath milae rakhna
jis ne ye rup diya hai 'ummid'
wo zamin dil mein basae rakhna


51073 viewsghazalEnglish