khwab aur haqiqat ki taswir nazar aai tadbir inan-gir-e-taqdir nazar aai aafat-e-musalsal mein ek rabt nazar aaya haalat-e-digar-gun mein zanjir nazar aai jo apne naqais the wo husn nazar aae auron mein jo khubi thi taqsir nazar aai raazi-ba-raza ho kar dekha to musibat bhi gul-ha-e-shagufta ki zanjir nazar aai yaadon ke jharoke se dekha to mujhe 'talib' ayyam-e-bahaaran ki taswir nazar aai