KHwab hamara TuT gaya hai
By qazi-hasan-razaJanuary 4, 2024
khwab hamara tut gaya hai
raat andheri nind khafa hai
dariya mein ek patthar phenka
mazi mera jag utha hai
shayad main bhi zahr piyunga
hat mein ek nili rekha hai
khwahish ki tikhi lazzat ne
sharm ka daman chaak kiya hai
phenk 'raza' ye kali chadar
raat ka sina chaak hua hai
raat andheri nind khafa hai
dariya mein ek patthar phenka
mazi mera jag utha hai
shayad main bhi zahr piyunga
hat mein ek nili rekha hai
khwahish ki tikhi lazzat ne
sharm ka daman chaak kiya hai
phenk 'raza' ye kali chadar
raat ka sina chaak hua hai
88117 viewsghazal • English