khwab ki haalaton ke sath teri hikayaton mein hain hum bhi dayar-e-ahl-e-dil teri riwayaton mein hain wo jo the rishta-ha-e-jaan tut sake bhala kahan jaan wo rishta-ha-e-jaan ab bhi shikayaton mein hain ek ghubar hai ki hai daera-war pur-fishan qafila-ha-e-kahkashan tang hain wahshaton mein hain waqt ki darmiyaniyan kar gain jaan-kani ko jaan wo jo adawaten ki thin aaj mohabbaton mein hain partaw-e-rang hai ki hai did mein jaan-nashin-e-rang rang kahan hain runuma rang to nikhaton mein hain hai ye wajud ki numud apni nafas nafas gurez waqt ki sari bastiyan apni hazimaton mein hain gard ka sara khanuman hai sar-e-dasht-e-be-aman shahr hain wo jo har tarah gard ki khidmaton mein hain wo dil o jaan suraten jaise kabhi na thin kahin hum unhin suraton ke hain hum unhin suraton mein hain main na sununga majra marka-ha-e-shauq ka khun gae hain raegan rang nadamaton mein hain